Labels

Friday, March 2, 2012

ekbar fir sooraj doob gaya

Ek baar fir sooraj doob gaya...
agyat se jo roshan thaa,
agyaat mein hi bujh gaya...
ekbar fir sooraj doob gaya..
ab shyam gagan mein tare hain,
chhote, par kitne saare hain...
aur kitnon ko pyaare hain!
suraj se raushan shrishti thee...
suraj thaa to drishti thee,
par kiski netr ka taara thaa?
dekha jisne, uski aankhon mein chubh gaya,
ekbar fir suraj doob gayaa...!

No comments: